Kya aapke ghar me chote bache hain? Ya jab relatives ghar aate hain or unke bache, Aapki diwaro ko ek drawing board ki there dhekte hain. Or alag alag colors, pen, markers or na jane kis kis se apni kala kari ka hunar hum sub ko dhikate hain. Unke jane ke baad unki mehenat wahi diwar par reh jate hain.
Start karte hai TV ads se, TV par humne dheka hain ke badi-badi company dhikati hain, Paint par lage nishano ke kitney aasani se gayab kiya ja sakta hai, Kya aisa sach much hote hain?
Aaj ke naye paints ko dheke to hain bhi or naa bhi. Agar aapki diwar par halka fulka nishan laga hain to hataya ja sakta hai, magar aap kahe sari painting he gayab ho jai to aisa possible nahi hain. Agar aap kisi bade area ko clean karte hain to wo surface ruff ho jata hain or uski shine bhi gayab ho jati hain.
Aaj ka hamara sawal hain : Diwaro Par Lage Ink Pen Ke Nishan ko Kaise Dur Kar Sakte Hain? usse phele jan se nishan hatane ka sahi tareeka.
Question:
- Diwar se nishan hatane ka sahi tareeka kya hain?
Answer:
- Aap phele us jaghe ko gila kare jaha nishan hain (jis nishan aap hatana chahate hain), uske baad aap sabun (soap) ko us nishan par lagaye fir kisi soft kapde se us jaghe ko rub kare or uske baad kisi sukhe kapde se poch de. Aisa karne se aapke color ko jyada nuksan nahi hoga.
Question:
- Diwaro Par Lage Ink Pen Ke Nishan ko Kaise Dur Kar Sakte Hain?
Answer:
- Halke fulke nishano ko to hataya ja skta hai, magar jyada bade dago ko hatana thora muskil ho sakta hai.